Did you like the poem

MERE DIL KA HASEEN MEHMAAN

Ek insaan mila jo jeena sikha gaya
Ansuon ki nami ko peena sikha gaya
Viraniyon mein gujar rahi thi zindagi apni
Un viranion mein bhi wo mehfil saja gaya
Gam ke andhere mein saaya na milta tha
Wah khud ko jalakar ujala dikha gaya
Mohabbat ke naam se anjaan tha ye dil
Zindagi mein aakar pyar karna sikha gaya
Mayusi bhari thi duniya sooni sooni si
Soonepan ko phoolon ki bagiya bana gaya
Aankhon mein mere the bas gam ke hi ansu
Par wah meri ankhon mein sapna saja gaya
Yakeen to nahi tha mere dil ko khudpar
Bharose se duniya mein jeena sikha gaya
Na jaane khafa hai kyun wo mere dil se
Kyun mujhe usne apne dil se bhula diya
Ham baawafa the karte se unse mohabbat
Na jaane kyun wo mujhse bewafa ho gaya
Mehfil sajakar ke mere hi dil mein
Na jaane kyun mere dil ko phir VIRAN bana gaya,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,


                                                                         By Pradeep Mishra