Did you like the poem

Friday, August 20, 2010

AAP SUNTE NAHIN

Ek aap hain ke sunte nahin
Dard-e-kahani sunte nahin -2


Ankhon mein aansu zubaani kahein.sunna to aasan nahin
Dare-e-judaai kaise sahein,  sehna to aata nahin
Ankhein kahein ki DEEDAR kar,
                               Par aap hain ke sunte nahin...................
Ek aap hain..............

Nafrat nazaaquat na kar pyar ko,  ki pyar hai mandir mera
Ruswa na hone de phir tu mujhe, na dil ye raha ab mera
Rehta hai aankhon mein CHEHRA tera,
                                Par aap hain ke sunte nahin................
Ek aap hain..........................


Yaari mohabbat se anjaan tha, TUNE sikhaya mujhe
Dil to kabhi bhi dhadakta na tha, dhadakna sikhaya mujhe
Tadapta hoon main bas TUMHARE liye
                                Par aap hain ke sunte nahin.....................
Ek aap hain ke sunte nahin,,,,,,, Dard-e-kahani sunte nahin.

No comments:

Post a Comment